Sad Ghazals

AAS

Ek aas lagana chahti hin,
Teri dar pi ana chahti hin,

Kuch nazr-e-karm ho mam pi agar,
Ham sar ko jhukana chahti hin,

Kia dogi hamin sare khushyan,
Ham daman ko philana chahti hin,

Teri kandhi pi sar rakh kar ham,
Gham apna sunana chahti hin,

Tum kia chahogi hamsi kaho,
Ham khud ko mitana chahti hin.


MASOOM DIL





Meri zindge ko ek tamasha bana diya usne,

Bhari mahfil min tanha bitha diya usne

Aise kia the nafrat usko es masoom dil se

Khushyan churakar gham thama diya usne

Buhat naaz tha uske waf pi kabhi

Mujhko he meri nazron min gira dya usne

Khud bewafa tha meri wafa ka kia qadr karta,

Anmol tha min khak min mila diya usne

Kise ko yaad karna to uske fitart min shamil nahin,

Hawa ka jhonka samjh kar mujhko bhuladya usne





Labon ki sarsraht se badn se choor hone tak,

Main tujhko es trha chahoon i meri sans ruk jay,

Khataon par khatain hon na ho kuch baat kahni ko,

Main tujhmin youn samajaon k meri sans ruk jay

Na himat tujh mein ho baqi na himat mujh min ho baqi,

Magr aitna qareeb aaoon ki meri sans ruk jay

Teri honton pi jab rakhoon main apni hont kuch aise

Ya teri pyas bhuj jay ya meri sans ruk jay.





Chaht ke mahfil min bulaya hai kise ne

Khud bula kr phir sataya hai kise ne

Jab tak jale hi shama jalta raha parwana,

Kia es trha sath nibhaya hin kise ne,

Arman meri riza riza hogai hain,

Yoon khil ki aangan si giraya hi kise ne

Aag lage hi dasht min koi kia bhujaiga,

Dil estrha si aaj jalaya hi kise ne

Dil rota hi rat bhar yaad kar kise ko,

Es trha ulfat min zakhm khaya hi kise ne

Sang dil jo tha aaj wo bhi ro para,

Usko bhi tarpaya hi kise ne..





Kab kon kise ka hota hai


sab jhote rishty naaty hain

Sab dil rakhne ke batien hain,

Sab asli roop chhupate hain,

Ikhlaq se khali log yahan,

Lafzon k teer chalaty hain,

Ek baar nigahon mein aa kar,

Phir sari umar rulate hain,

Wo jisne diya hai isahq hamin,

Ab usko bhool he jate hain...