Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
=>Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain !
=>Apni tabahiyon main hi jub apna haath ho
=>Phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain
=>Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
=>Ham say chahta tha k hum iltija karain.
==========
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
=>Duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.
=>Lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
=>Kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.
=>Dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
=>Jazbon ki barishon ki jo aadat usse nah.
===========
KAHA US NAY BHAROSA DIL PAY
ITNA NAHI KARTEE
=>KAHA MAIN NAY MUHABBAT MAIN
KABHI SOCHA NAHI KARTEE
=>KAHA US NAY BOHAT KHUSH RANG
DUNIYA K NAZARE HAIN
=>KAHA MAIN NAY JAB TUM HO TU
KUCH DEKHA NAHI KARTEE
=>KAHA US NAY MAIN TUMSE DOR HON
LEKIN TUMHARA HOON...
=========
Aik bay rang sa manzar hai
kahan tak sochon
zindagi main terey baray main kahan tak sochon
Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay
aur main sirf paroosi k makaan tak sochon
Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai
main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon
Loog jis mor per ghabra k
bechar jaatay hain
tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon.
============
Kuch din to baso merii ankhon me
phir khuwab agar ho jaao to
kyaa
koi rang to do mere chehray ko
phir zakhm agar mehkao to kyaa
ik ainaa thaa so TuuT gayaa
ab Khud se agar sharmaao to kyaa
main tanhaa thaa main tanhaa huuN
tum aao to kyaa na aao to kyaa
jab ham hii na mahake phir
saahib
tum baad-e-sabaa kahlaao to kyaa
jab dekhne waalaa koi naheen
bujh jaao to kyaa jal jaao to
kyaa..
===== ==== ==
Zamanay ko jalnay do chalo aik sath chalte hain,
Nayee duniya basanay ko chalo aik sath chalte hain,
Hamain jeevan ka her lamha
tumhare naam kerna hai,
Yeh waada nibhanay ko chalo aik sath chalte hain,
Suna hay mil k chalne se
muqaddar jaag uthte hain,
Yeh baat aazmanay ko chalo aik sath chaltay hain.